imtiyaz-e-gham-o-ḳhushi na raha
koi ehsas-e-zindagi na raha
ham ne ai dil tujhe bhi dekh liya
ab tira e’tibar bhi na raha
un se kahte ḳhirad ka afsana
kya kahen ham ko hosh hi na raha
justuju men tiri talab men tiri
mujh ko tera ḳhayal bhi na raha
ḳhud se rahta huun be-ḳhabar lekin
aap se be-ḳhabar kabhi na raha
aap ke ba.ad zindagi to rahi
haan magar lutf-e-zindagi na raha
ab to aa ja ki tere ‘nashtar’ ko
ab tira intizar bhi na raha
Leave a Reply