teri nazron se yaar utar ja.un
is se behtar ye hai ki mar ja.un
main bhi ab kya karun ai mere raqib
meri fitrat nahin ki Dar ja.un
gar tu dastar maang le mujh se
tere qadmon men de ke sar ja.un
phir koi aur hi banun aḳhir
TuuT ja.un to is qadar ja.un
tu bhi be-shak nazar ghuma lena
main agar pher kar nazar ja.un
tu mujhe chhoḌ kar nahin jaana
main tujhe chhoḌ kar agar ja.un
upar upar to paar ja na saka
sochta huun bhanvar bhanvar ja.un
haath ḳhali hain chashm tar hai meri
ab tu hi bol kaise ghar ja.un
yuun mo.attar karun faza ‘nayab’
ḳhushbuon ki tarah bikhar ja.un
Leave a Reply