• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil-E-KHilqat-E-KHuda Ko Sanama Jala Na Chandan

Dil-E-KHilqat-E-KHuda Ko Sanama Jala Na Chandan

poet

dil-e-ḳhilqat-e-ḳhuda ko sanama jala na chandan

ki falak ke paar pahunche taf-e-ah-e-dard-mandan

kahen kya ki dekhte hain tujhe ghair saath ḳhandan

rahe honT ho chabate ba-jigar-fashurda-dandan

vahin jhaḌ-gulon ke tuude bandhen gulbanon ke niche

kabhu sub.h-dam chaman men jo vo ghuncha-lab ho ḳhandan

kaho kya barrar-sohbat miri us ki ho azizan

dil-e-nazuk apna shisha dil-e-sang us ka sandan

na bachega said un se koi ahu-e-haram tak

jo rahe shikar-afgan yahi ambarin-kamandan

kabhu rang se hina ke sar-e-dast-o-pa nigarin

na siva-e-ḳhun-e-ashiq karen ye nigar-bandan

na ho ghair saath har-dam mutabassim ai pari-vash

na namak-fishan ho dil ke sar-e-rish mustamindan

kiye shana riish ko yaan abas aa.e shaiḳh ji tum

ki ye jam-e-bazm-e-rindan hai fariq-e-rish-ḳhandan

nahin faal lab pe us ke ye hai mehr ḳhamushi ki

vahi samjhe hai ye nukta ki jo hai baḌa suḳhan-dan

kahin sarv se mushabah tere qad ko past-fitrat

ye hai gosh-zad hamare suḳhan-e-nazar-bulandan

sabhi mahv-e-ḳhud-numa.i ba-misal-e-a.ina hain

ye ḳhuda.i se nirala hai giroh-e-ḳhud-pasandan

tiri vasf ka kamar ke na bandha kisi se mazmun

rahe ḳhvab men adam tak jo ka.i ḳhayal bandan

‘muhib’ is ada ke sadqe ki uTha.e maar Thokar

sar-e-pa-e-naznin se vo sar-e-niyaz-mandan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sultan Baho

Eh Tan Rab Sachche da Hujra Wich Pa Faqiran Jhati Hu

ahmad-ashfaq

Wo Meri Jurat-e-Kamyab Se Na-Waqif Hain

Sabz-Kheton Se umaDti Raushni Taswir Ki

abrar-ahmad

Aankhen Taras Gai Hain

TuTne Par Koi Aae to Phir Aisa TuTe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet