• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tu Mere Sath Hatheli uTha Nikal Aae

Tu Mere Sath Hatheli uTha Nikal Aae

tu mere saath hatheli uTha nikal aa.e

koi dua na sahi bad-dua nikal aa.e

kabhi-kabhar use chuum len to mumkin hai

hamare munh se bhi shukr-e-ḳhuda nikal aa.e

ḳhabar ki taak men baiThe hue to chahenge

kisi tarah se koi vaqi.a nikal aa.e

yahi to dukh hai qabila bhi ḳhandan tha ek

magar mizaj hi apne juda nikal aa.e

mare huon ki talashi men ho bhi sakta hai

kisi ki jeb se us ka pata nikal aa.e

uTha raha huun yahi soch kar ziyan pe ziyan

kisi ki ḳhair kisi ka bhala nikal aa.e

mujhe ḳhabar hai ki ye log lauT ja.enge

agar yahan se koi rasta nikal aa.e

naya safar ho mubarak magar karoge kya

vahan bhi aisi hi ab-o-hava nikal aa.e

nikal raha huun main us dil se is tarah ‘sahir’

ki jaise kaaT ke qaidi saza nikal aa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dard Ko Ashk Banane Ki Zarurat Kya Thi

Umid Koi Nahin Aasra Bhi Koi Nahin

abdul-mannan-tarzi

Aankh Par Eatibar Ho Jae

Aab Ki Tasir Mein Hun Pyas Ki Shiddat Mein Hun

poet

dil Pe Aafat Aai Ab Ek Aan Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet