vaise to bahut dhoya gaya ghar ka andhera
nikla nahin divar ke andar ka andhera
kuchh ruashni-e-taba zaruri hai vagarna
hathon men utar aata hai ye sar ka andhera
vo hukm ki hai aql-o-aqide pe muqaddam
chhutne hi nahin deta muqaddar ka andhera
kya kya na abul-haul tarashe gae us se
jaise ye andhera bhi ho patthar ka andhera
deti hai yahi vaqt ki tauret gavahi
zar ka jo ujala hai vo hai zar ka andhera
har aankh lagi hai ufuq-e-dar ki janib
suraj se kiran mangta hai dar ka andhera
Leave a Reply