kya karishma tha khudaya der tak
khud ko kho kar khud ko paaya der tak
chhu ke lauta jab tujhe mera khayal
hosh men vapas na aaya der tak
kal koi jhonka hava ka chhu gaya
aur phir tu yaad aaya der tak
ham tiri aghosh men the raat bhar
”mah-e-kamil muskuraya der tak”
kal tire ehsas ki barish tale
mera suna-pan nahaya der tak
sun ke bhigi raat ki sargoshiyan
ik kunvara-pan lajaya der tak
Leave a Reply