ik haqiqat huun agar iz.har ho jaunga main
jaane kis kis jurm ka iqrar ho jaunga main
kaat lo ab ke mujhe bhi khvahishon ki fasl par
zindagi ik khvab hai bedar ho jaunga main
rafta rafta baagh ki sab titliyan kho jaengi
aur ik din khud se bhi bezar ho jaunga main
ya to ik din tod dalunga hisar-e-agahi
ya kisi qisse ka ik kirdar ho jaunga main
aks-andar-aks aata hai nazar mujh ko ‘kamal’
kya kisi din aaine ke paar ho jaunga main
Leave a Reply