rang ka farq miTaya ye sharaf mera tha
sang-e-asvad tha mira durr-e-najaf mera tha
sub.h-e-bai.at ki vo zahrili hava teri thi
aur jo phuul tha shamshir-ba-kaf mera tha
rah ke paani men bhi paani se bahut duur raha
tha jo dariya men vafaon ka sadaf mera tha
din-o-duniya men rahi jang andhere ke sabab
sub.h ke vaqt magar meri taraf mera tha
us ko karna hi paḌa sar mira uncha ‘saulat’
aaj neze ne bhi samjha jo sharaf mera tha
Leave a Reply