raste men shaam ho ga.i ghar ja.un kya karun
ik qarz hai safar men ye bhar ja.un kya karun
kachcha mira makan tha barish men bah gaya
sail-e-ravan men ḳhud bhi utar ja.un kya karun
vapas vahin pe rasta mujhe le ke aa gaya
main aage chal paḌun ki Thahar ja.un kya karun
dar to khule hue hain na mehman na mezban
ghabra ke sochti huun kidhar ja.un kya karun
qatil tujhe bacha gaya munsif ka faisla
fariyad kis se ho main kidhar ja.un kya karun
taskin us ki jaan ko milegi usi tarah
raste pe ḳhaak ban ke bikhar ja.un kya karun
duniya bula rahi hai mujhe diin hai ik taraf
ja.un main is taraf ki idhar ja.un kya karun
us ki raza pe ḳhush huun rakhe jis bhi haal men
us ki raza pe kuchh bhi main kar ja.un kya karun
Leave a Reply