nazar-navaz nazar ka ye zaviya kyon hai
numud-e-aks pe hairan a.ina kyon hai
zaban pe harf-e-anal-haq laraz raha hai kyon
junun-e-ishq tazabzub ka marhala kyon hai
vahi hai manzil-e-aḳhir jahan safar aghaz
bandha hua mire qadmon se da.era kyon hai
hayat-o-maut ka maqsad agar nahin malum
shikast-o-reḳht ka be-kar silsila kyon hai
ye kis ne zahr milaya hai jam-e-hasti men
ab aisa talḳh tanaffus ka za.iqa kyon hai
nizam aap ka tanzim aap ki janan
to ab tamasha-e-taftish-e-hadisa kyon hai
yahan to jiine ko darkar hausla hai bahut
dil-e-tabah men baaqi ye hausla kyon hai
qadam qadam na hon sayyad ki bichhi ankhen
saja saja miri manzil ka rasta kyon hai
faza-e-sher-o-suḳhan be-aman hui ‘pinhan’
dayar-e-zagh-o-zaghan men ye faḳhta kyon hai
Leave a Reply