junun irfan ban kar rah gaya hai
ye kufr iman ban kar rah gaya hai
ye coffē-ghar miri shamon ka mehvar
miri pahchan ban kar rah gaya hai
farishta jis ko banna tha vo insan
faqat haivan ban kar rah gaya hai
vo tha ik nukta-dan ḳhush-fikr sha.er
magar nadan ban kar rah gaya hai
suḳhan mera tiri bazm-e-tarab men
surili taan ban kar rah gaya hai
ye kaisi mahviyat hai mera hona
tira paiman ban kar rah gaya hai
hue na-paid ehsas-o-taḳhayyul
adab be-jan ban kar rah gaya hai
jadidiyat men be-chara suḳhnavar
ḳhirad ki shaan ban kar rah gaya hai
dabistan-e-suḳhan ab ‘krishn’ mohan
shu.uristan ban kar rah gaya hai
Leave a Reply