na bevafai ka dar tha na gham judai ka
maza men kya kahun aghaz-e-ashnai ka
kahan nahin hai tamasha tiri khudai ka
magar jo dekhne de roab kibriyai ka
vo na-tavan huun agar nabz ko hui jumbish
to saaf jod juda ho gaya kalai ka
shab-e-visal bahut kam hai asman se kaho
ki jod de koi tukda shab-e-judai ka
ye josh-e-husn se tang aai hai qaba in ki
ki band band hai khvahan girah-kushai ka
kaman haath se rakh said-gah-e-irfan men
ki tiir said hai yaan dam-e-na-rasai ka
vo bad-nasib huun yaar aae mere ghar to bane
simat ke vasl ki shab til rukh-e-judai ka
hazaron kafir o momin pade hain sajde men
buton ke ghar men bhi saman hai khudai ka
tamam ho gae ham pahle hi nigah men haif
na raat vasl ki dekhi na din judai ka
nahin hai mohr lifafa pe khat ke ai qasid
ye daagh hai miri qismat ki na-rasai ka
naqab daal ke ai aftab-e-hashr nikal
khuda se dar ye kahin din hai khud-numai ka
nahin qarar ghadi bhar kisi ke pahlu men
ye zauq hai tire navak ko dilrubai ka
mari taraf se koi ja ke kohkan se kahe
nahin nahin ye mahal zor-azmai ka
kaha jo main ne ki main khak-e-rah huun tera
to bole hai abhi pindar khud-numai ka
junun jo meri taraf ho vo jast-o-khez karun
ki dil ho tuut ke tukde shikasta-pai ka
‘amir’ ravayye apne nasib ko aisa
ki ho saped siyah abr na-rasai ka
Leave a Reply