badal ambar pe na dharti pe shajar hai baaba
zindagi dhuup men sahra ka safar hai baaba
tum kahan aa ga.e shishon ki tamanna le kar
ye to ik sang-faroshon ka nagar hai baaba
ham hain qaid-e-dar-o-divar se azad hamen
jis jagah raat guzari vahi ghar hai baaba
man ho darvesh to phir tan pe qaba ho ki aba
jog baana nahin andaz-e-nazar hai baaba
batn har sang men dekhe jo koi paikar-e-naz
kis ko hasil vo sanam-saz-nazar hai baaba
soch kar dasht-e-tamanna men qadam rakh ‘sabir’
is maruthal men ba-har-gam ḳhatar hai baaba
Leave a Reply