rone men abr-e-tar ki tarah chashm ko mere josh hai
naala men aah raad sa shor hai aur kharosh hai
raad ne shor se pukar maston ko ye naved di
tum ho kidhar ai mai-kasho mausam nae-o-nosh hai
chaak karun huun jeb-e-sabr tale-e-andalib dekh
sunne ko us ka dard-e-dil gul hi ba-shakl-e-gosh hai
kin ne chaman men mai-kashi ki hai saba tu sach kaho
jaam hai gul ke haath men ghuncha subu ba-dosh hai
kaun divana mar gaya us ke aza men ab talak
us ke libas sar-ba-sar chashm siyah-posh hai
naala hai khana-zad-e-ishq lek kahan sar-o-dimagh
apne to qafile ke biich jo hai jaras khamosh hai
Leave a Reply