itna batla mujhe harjai huun main yaar ki tu
main har ik shakhs se rakhta huun sarokar ki tu
kam-sabati miri har dam hai mukhatib ba-habab
dekhen to pahle ham us bahr se hon paar ki tu
na-tavani miri gulshan men ye hi bahse hai
dekhen ai nikhat-e-gul ham hain subuk-bar ki tu
dosti kar ke jo dushman hua tu ‘jurat’ ka
bevafa vo hai phir ai shokh sitamgar ki tu
Leave a Reply