• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Geet / Sambhal Ai dil Tadapne Aur Tadpane Se Kya Hoga

Sambhal Ai dil Tadapne Aur Tadpane Se Kya Hoga

sahir-ludhianvi

sambhal ai dil tadapne aur tadpane se kya hoga

jahan basna nahin mumkin vahan jaane se kya hoga

chale aao ki ab munh pher kar jaane se kya hoga

jo tum par mar-mita us dil ko tadpane se kya hoga

hamen sansar men apna banana kaun chahega

ye masle phuul sejon par sajana kaun chahega

tamannaon ko jhute khvab dikhlane se kya hoga

tumhen dekha tumhen chaha tumhen puuja hai is dil ne

jo sach puchho to pahli baar kuchh manga hai is dil ne

samajhte bujhte anjan ban jaane se kya hoga

jinhen milti hain khushiyan vo muqaddar aur hote hain

jo dil men ghar banate hain vo dilbar aur hote hain

umidon ko khilaune de ke bahlane se kya hoga

bahut din se thi dil men ab zaban tak baat pahunchi hai

vahin tak us ko rahne do jahan tak baat pahunchi hai

jo dil ki akhiri had hai vahan tak baat pahunchi hai

jise khona yaqini ho use paane se kya hoga

Filed Under: Geet Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nafas Nafas Pe Mujhe Yaad Aae Jate Hain

Duniya-E-Rang-O-Bu Se Kinara Nahin Kiya

poet

dard Jun Shama Mile Hai Shab-E-Hijran Mujhko

poet

Jo Bhi taKHt Pe Aa Kar baiTha Usko Yazdan Man Liya

Aap Kyun chheDte Hain Dipak Rag

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet