hama-tan gosh ik zamana tha
mere lab par tira fasana tha
kaash dil hi zara Thahar jaata
gardishon men agar zamana tha
ham the aur e’timad-e-fasl-e-bahar
shaḳh shaḳh apna ashiyana tha
vo baharen bhi ham pe guzri hain
jab qafas tha na ashiyana tha
dil ki ummidvariyan na ga.iin
us karam ka koi Thikana tha
sub.h se pahle bujh gaya ‘tabish’
ek dil hi charagh-e-ḳhana tha
Leave a Reply