haif hai aisi zindagani par
ki fida ho na yar-e-jani par
teri gul-kari abr ho barbad
gar fida ho na yar-e-jani par
haal sun sun ke hans diya mera
kuchh to aaya hai mehrbani par
khuun kushton ke ho gaya dil ka
teri dastar-e-arghavani par
raat ‘bedar’ vo mah-e-taban
sun ke roya miri kahani par
Leave a Reply