kahan jaana tha mujh ko
kis nagar ki khaak balon men sajana thi
mujhe kin tahniyon se dhuup chunna thi
kahan khema lagana tha
miri mitti rah-e-sayyargan ki ham-qadam nikli
miri palkon pe taare jhilmilate hain
badan men aag jalti hai
magar paanv men khun-asham raste ladkhadate hain
ye kya shiraza-bandi hai
ye meri be-pari kis kunj se ho kar baham nikli
nazar men din nikalta hai
paron men shaam dhalti hai
magar main to lahu ki munjamid sil huun
badan ki kisht-e-viran men
ye kis ki ungliyon ne umr bhar mujh ko kureda hai
kahan shiryan men chalta hua ye qafila thahra
ki main us haath ki rekhaon men rang-e-hina thahra
kahan jaana tha mujh ko
kis jagah khema lagana tha
Leave a Reply