raah ke pattharon se bhari hai
ham ne kya zindagi guzari hai
raat ulTi pahan ke sota huun
hijraton ka azaab jaari hai
ham to baazi laga ke haar chuke
dosto ab tumhari baari hai
mujh pe phulon ka qarz hai main ne
zindagi shaḳh se utari hai
sochta huun ki thak gaya huun main
teri janib safar bhi jaari hai
ye jo ham tum ko bhuul jaate hain
ik ta.alluq ki ustuvari hai
ab zamana badal gaya hai ‘qais’
ab mohabbat bhi iḳhtiyari hai
Leave a Reply