dharti ko main giit sunaya karta huun
peḌ parinde roz nachaya karta huun
miTTi bhi labbaik pukara karti hai
jab zalim se aankh milaya karta huun
tere ishq ne mujh ko fan ye baḳhsha hai
paani pe tasvir banaya karta huun
itni taab kahan hai bekas ankhon men
sahra men ab ḳhvab sulaya karta huun
aksar peḌ ke saa.e baiTh ke us ko main
varis shaah ki hiir sunaya karta huun
kuchh din se to niind bhi ruThi ruThi hai
shab bhar us ko roz manaya karta huun
‘tariq’ rashk farishte karne lagte hain
jab bhi maan ke pair dabaya karta huun
Leave a Reply