kasrat men bhi vahdat ka tamasha nazar aaya
jis rang men dekha tujhe yakta nazar aaya
jab us rukh-e-pur-nur ka jalva nazar aaya
kaaba nazar aaya na kalisa nazar aaya
ye husn ye shokhi ye karishma ye adaen
duniya nazar aai mujhe to kya nazar aaya
ik sarkhushi-e-ishq hai ik be-khudi-e-shauq
ankhon ko khuda jaane miri kya nazar aaya
jab dekh na sakte the to dariya bhi tha qatra
jab aankh khuli qatra bhi dariya nazar aaya
qurban tiri shan-e-inayat ke dil o jaan
is kam-nigahi par mujhe kya kya nazar aaya
har rang tire rang men duuba hua nikla
har naqsh tira naqsh-e-kaf-e-pa nazar aaya
ankhon ne dikha di jo tire gham ki haqiqat
aalam mujhe saara tah-o-bala nazar aaya
har jalve ko dekha tire jalvon se munavvar
har bazm men tu anjuman-ara nazar aaya
Leave a Reply