vo nazar a.ina-fitrat hi sahi
mujhe hairat hai to hairat hi sahi
zindagi dagh-e-mohabbat hi sahi
aap se duur ki nisbat hi sahi
tum na chaho to nahin kaT sakti
ek lamhe ki masafat hi sahi
dil mohabbat ki ada chahta hai
ek aansu dam-e-ruḳhsat hi sahi
ab-e-haivan bhi nahin mujh pe haram
zahr ki mujh ko zarurat hi sahi
apni taqdir men sannaTa hai
ek hangame ki hasrat hi sahi
is qadar shor-e-tarab kya ma.ani
jagne ki mujhe aadat hi sahi
bazm-e-rindan se ta.alluq kaisa
aap ki mez pe sharbat hi sahi
hadd-e-manzil hai muqarrar ‘baqi’
rahrav-e-shauq ko ujlat hi sahi
Leave a Reply