• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dhundoge Agar Mulkon Mulkon Milne Ke Nahin Nayab Hain Hum

dhundoge Agar Mulkon Mulkon Milne Ke Nahin Nayab Hain Hum

shad-azimabadi

dhundoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain ham

jo yaad na aae bhuul ke phir ai ham-nafaso vo khvab hain ham

main hairat o hasrat ka maara khamosh khada huun sahil par

dariya-e-mohabbat kahta hai aa kuchh bhi nahin payab hain ham

ho jaae bakheda paak kahin paas apne bula len behtar hai

ab dard-e-judai se un ki ai aah bahut betab hain ham

ai shauq bura is vahm ka ho maktub tamam apna na hua

vaan chehre pe un ke khat nikla yaan bhule hue alqab hain ham

kis tarah tadapte ji bhar kar yaan zoaf ne mushkin kas diin hain

ho band aur atish par ho chadha simab bhi vo simab hain ham

ai shauq pata kuchh tu hi bata ab tak ye karishma kuchh na khula

ham men hai dil-e-betab nihan ya aap dil-e-betab hain ham

lakhon hi musafir chalte hain manzil pe pahunchte hain do ek

ai ahl-e-zamana qadr karo nayab na hon kam-yab hain ham

murghan-e-qafas ko phulon ne ai ‘shad’ ye kahla bheja hai

aa jaao jo tum ko aana ho aise men abhi shadab hain ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

hasrat-mohani

Apna Sa Shauq Auron Mein Laen Kahan Se Hum

Safina Rakhta Hun Darkar Ek Samundar Hai

Jahan Bhar Mein Mere Dil Sa Koi Ghar Ho Nahin Sakta

Ishq Shabnam Nahin Sharara Hai

poet

Aagahi Jis Maqam Par Thahri

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet