jiine ki hai ummid na marne ka yaqin hai
ab dil ka ye aalam hai na duniya hai na diin hai
gum hain reh-e-taslim men talib bhi talab bhi
sajda hi dar-e-yar hai sajda hi jabin hai
kuchh maz.har-e-batin huun to kuchh mahram-e-zahir
meri hi vo hasti hai ki hai aur nahin hai
iiza ke siva lazzat-e-iza bhi milegi
kyuun jalva-gah-e-hosh yahan dil bhi kahin hai
mayus sahi hasrati-e-maut huun ‘fani’
kis munh se kahun dil men tamanna hi nahin hai
Leave a Reply