
Poet
mushkil ye imtiyaz tiri rahguzar men hai
manzil safar men hai ki musafir safar men hai
huun muztarib magar tiri surat nazar men hai
pahlu bhi ik sukun ka dard-e-jigar men hai
thoḌi si ḳhaak main ne uTha li zamin se
ab saari zindagi ka ḳhulasa nazar men hai
ai aftab-e-sub.h idhar bhi koi kiran
muddat se ik gharib umid-e-sahar men hai
puchho na ek ek se mere junun ka raaz
mere junun ka raaz tumhari nazar men hai
ka.abe ko manta huun magar is yaqin ke saath
ka.aba bhi ik maqam tiri rahguzar men hai
maana ki sab ne aap ko dekha hai shauq se
pahchanne ḳhulus-e-nazar kis nazar men hai
fasl-e-bahar aa.i hai kaise yaqin karen
‘sharib’ hai jis ka naam vo divana ghar men hai

Leave a Reply