ḳhuda ne laaj rakhi meri be-nava.i ki
bujha charagh to jugnu ne rahnuma.i ki
tire ḳhayal ne tasḳhir kar liya hai mujhe
ye qaid bhi hai basharat bhi hai riha.i ki
qarib aa na saki koi be-vazu ḳhvahish
badan-sara.e men ḳhushbu thi parsa.i ki
mata-e-dard hai dil men to aankh men aansu
na raushni ki kami hai na raushna.i ki
ab apne aap ko qatra bhi kah nahin sakta
bura kiya jo samundar se ashna.i ki
use bhi shah ne musahib bana liya apna
jis aadmi se tavaqqo thi lab-kusha.i ki
vahi to markazi kirdar hai kahani ka
usi pe ḳhatm hai tasir bevafa.i ki
Leave a Reply