• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gulon Si Guftugu Karen Qayamaton Ke darmiyan

Gulon Si Guftugu Karen Qayamaton Ke darmiyan

ada-jafarey

gulon si guftugu karen qayamaton ke darmiyan

ham aise log ab milen hikayaton ke darmiyan

lahuluhan ungliyan hain aur chup khadi huun main

gul o saman ki be-panah chahaton ke darmiyan

hatheliyon ki ot hi charagh le chalun abhi

abhi sahar ka zikr hai rivayaton ke darmiyan

jo dil men thi nigah si nigah men kiran si thi

vo dastan ulajh gai vazahaton ke darmiyan

sahifa-e-hayat men jahan jahan likhi gai

likhi gai hadis-e-jan jarahaton ke darmiyan

koi nagar koi gali shajar ki chhanv hi sahi

ye zindagi na kat sake masafaton ke darmiyan

ab us ke khal-o-khad ka rang mujh se puchhna abas

nigah jhapak jhapak gai iradaton ke darmiyan

saba ka haath thaam kar ‘ada’ na chal sakogi tum

tamam umr khvab khvab saaton ke darmiyan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet, Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Mein Ho Aas to Har Kaam Sambhal Sakta Hai

Mehr O Mahtab Ko Mere Hi Nishan Jaanti Hai

Ruswa Bhi Hue Jam paTakna Bhi Na Aaya

faiz-ahmad-faiz

Faza-E-dil Pe Udasi Bikharti Jati Hai

abdul-hamid-adam

Khu-e-Lail-O-Nahaar dekhi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet