xvo agli si ab qadrdani nahin
mohabbat nahin mehrbani nahin
bayan kya vo jis men ravani nahin
vo talvar kya jis men paani nahin
sunata huun main apni biiti tumhen
ye qissa nahin ye kahani nahin
mire sar ki ab kyon qasam kha.iye
mujhe aap se bad-gumani nahin
hamara vafaon men ham-sar kahan
tumhara jafaon men saani nahin
ta.amul dam-e-qatl kyon is qadar
tiri tegh men kya ravani nahin
main faani sahi lekin ai asman
vafa to miri umr-e-fani nahin
vafa main ne chahi jafa tum ne ki
jo maani to kuchh baat maani nahin
na marne diya aur na jiine diya
koi baat bhi tum ne maani nahin
tire ghamza-o-ishva-o-naz ki
zamane pe kya hukmarani nahin
payam-e-qaza hai payam-e-qaza
kisi ki javani javani nahin
mohabbat ye kahti hai ‘mas.ud’ se
koi dagh-e-dil si nishani nahin
Leave a Reply