ishq ne khuun kiya hai dil jis ka
para-e-laal ashk hai tis ka
yaad kar kar amal men laata huun
har sukhan ishq ke mudarris ka
chashm-e-saqi ka vasf likhta huun
le qalam haat shakh-e-nargis ka
gham ne piila kiya hamara rang
kimiya-gar ne zar kiya mis ka
zulf dikhla ke dil lapet liya
ab pareshan hai haal majlis ka
tum ne paae ho husn ki daulat
puchhte kab ho haal muflis ka
be-kasi mujh siin ashna hai ‘siraj’
nahin to aalam men kaun hai kis ka
Leave a Reply