aḳhir-e-shab vo teri angḌa.i
kahkashan bhi falak pe sharma.i
aap ne jab tavajjoh farma.i
gulshan-e-zist men bahar aa.i
dastan jab bhi apni dohra.i
gham ne ki hai baḌi pazira.i
sajda-rezi ko kaise tark karun
hai yahi vaj.h-e-izzat-afza.i
tum ne apna niyaz-mand kaha
aaj meri murad bar aa.i
aap farma.iye kahan ja.un
aap ke dar se hai shanasa.i
us ki taqdir men hai vasl ki shab
jis ne bardasht ki hai tanha.i
raat pahlu men aap the be-shak
raat mujh ko bhi ḳhuub niind aa.i
main huun yuun ism-ba-musamma ‘aziz’
varis-e-pak ka huun shaida.i
Leave a Reply