main din ko raat ke dariya men jab utaar aaya
mujhe zamin ki gardish pe e’tibar aaya
main kaun kaun se hisse men raushni likkhun
ki ab to saara ilaqa pas-e-ghubar aaya
jo kar raha tha barabar nasihaten mujh ko
vo ek daav men saari hayat haar aaya
dayar-e-ishq men ḳhairat jab mili mujh ko
mire nasib ki jholi men intizar aaya
shab-e-firaq ke lamhe the itne tulani
main ek raat men sadiyan ka.i guzar aaya
nikal saka na dukhon ke hisar se bahar
tamam ziist isi ḳhol men guzar aaya
hava ke paanv to shal ho ga.e the raste men
ye kaun patton men sargoshiyan ubhar aaya
Leave a Reply