• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Ka Hath Daman Par Kisi Ka Sar Gareban Mein

Kisi Ka Hath Daman Par Kisi Ka Sar Gareban Mein

kisi ka haath daman par kisi ka sar gareban men

ye divane bhi gul-chharre uḌate hain bayaban men

sama kar rah gaya har un ka jalva qalb-e-sozan men

kahan se itni vus.at aa ga.i is tang-daman men

saliqa ḳhaak uḌane ka baḌi mushkil se aata hai

bagule sar paTak kar rah ga.e aḳhir bayaban men

hansi kaliyon ke lab par hai qaba-e-gul ke TukḌe hain

sabhi par chha ga.i divangi ab ke gulistan men

qarib aaya zamana jab bhi ahd-e-gul ki ruḳhsat ka

ulajh kar rah gaya dast-e-junun tar-e-gareban men

suvaida but-kada hai dil haram nazren pujari hain

yahan tafriq bhi kuchh hai to ye hai kufr-o-iman men

iqamat ke liye kya vus.at-e-kaunain kuchh kam thi

abas angḌa.i li tum ne dil-e-nazzara-saman men

jo ankhon se laga.e gul to kanTe rakh liye dil men

mujhe donon hi se ‘qaisar’ ilaqa tha gulistan men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hadis-E-Ishq Ko Unwan La-Jawab Mila

mirza-raza-barq

Zer-E-Zamin Hun Tishna-E-didar-E-Yar Ka

Aag Jo Dil Mein Lagi Hai Wo Bujha Di Jae

sarwat-zehra

Har Ek Khwab So Gaya Khayal Jagte Rahe

poet

Tufan Samajh Liya Kabhi Sahil Bana Liya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet