nisar yuun to hua tujh pe naqd-e-jan kya kya
magar raha bhi tira husn sargiran kya kya
alag alag bhi bahut dil-fareb niklegi
kahenge log abhi teri dastan kya kya
hisab-e-mai hai harifan-e-bada-paima se
uThega ab ke rag-e-tak se dhuan kya kya
nafs ki rau men koi pech-o-tab dariya tha
gaya hai vadi-e-jan se ravan-davan kya kya
vafa ki raat koi ittifaq thi lekin
pukarte hain musafir ko sa.eban kya kya
hazar sham.en jala.e hue khaḌi hai ḳhirad
magar faza men andhera hai darmiyan kya kya
Leave a Reply