rang mausam ke saath laa.e hain
ye parinde kahan se aa.e hain
baiTh jaate hain rah-rau thak kar
kitne himmat-shikan ye saa.e hain
dhuup apni zamin hai apni
peḌ apne nahin para.e hain
apne ahbab ki ḳhushi ke liye
bila-irada bhi muskura.e hain
dushmanon ko qarib se dekha
doston ke fareb khaa.e hain
ham ne toḌa hai zulmaton ka fusun
raushni ke bhi tiir khaa.e hain
dekh le muḌ kar mahv-e-ara.ish
a.ina ban ke ham bhi aa.e hain
pai-ba-pai raah ki shikaston ne
hausle aur bhi baḌha.e hain
zindagi hai usi ka naam ‘ejaz’
hain vo apne jo gham para.e hain
Leave a Reply