• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yaad Ayyame Ki Dil Rakhte the Jaan Rakhte the Hum

Yaad Ayyame Ki Dil Rakhte the Jaan Rakhte the Hum

poet

yaad ayyame ki dil rakhte the jaan rakhte the ham

shikva-sanji ke liye munh men zaban rakhte the ham

saz-e-gham rakhte the ham soz-e-nihan rakhte the ham

sar men sauda dil men nashtar sa nihan rakhte the ham

gard-bad asaz men bar asman rakhte the ham

apne qadmon ke tale saara jahan rakhte the ham

hasrat-e-ashuftagi shauq-e-ziyan rakhte the ham

rauzan-e-ummid-o-bim-e-pasban rakhte the ham

fursat-e-be-sud sa.i-e-ra.igan rakhte the ham

tha duaon se pare vo astan rakhte the ham

parda-e-jan men nigar-e-dil-sitan rakhte the ham

gulshan-e-dil men bahar-e-be-ḳhizan rakhte the ham

kunj-e-uzlat men sarishk-e-ḳhun ravan rakhte the ham

raz-daron se bhi ik raz-e-nihan rakhte the ham

shab hama shab khelte the halqa-ha-e-zulf se

dida-e-ghammaz ko ham dastan rakhte the ham

Thes pahunchate the pindar-e-ḳhudi ko rat-din

phir bhi dil ki arzuon ko javan rakhte the ham

ab na vo dil hai na vo sauda na vo tughyan-e-shauq

yaad ayyame ki dil vaqf-e-fughan rakhte the ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chhu Nahin Pate baDha Kar Hath Usko

shahnaz-nabi

insaf

abdul-ahad-saaz

Aarzu

Hafiz Shirazi

Bu-e-Khush-e-Tu Har Ki Ze-Baad-e-Saba Shunid

KHwab Kahan Se TuTa Hai Tabir Se Puchhte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet