udaas baam hai dar kaTne ko aata hai
tire baghair ye ghar kaTne ko aata hai
ḳhayal-e-mausam-e-gul bhi nahin sitamgar ko
bahar men bhi shajar kaTne ko aata hai
faqih-e-shahr se insaf kaun mangega
faqih-e-shahr to sar kaTne ko aata hai
isi liye to kisanon ne khet chhoḌ diye
ki koi aur samar kaTne ko aata hai
tire ḳhayal ka aahu kahin bhi din men rahe
magar vo raat idhar kaTne ko aata hai
kaha to tha ki hamen is qadar bhi Dhiil na de
ab uḌ rahe hain to par kaTne ko aata hai
ye kaam karte the pahle sagan-e-avara
bashar ko aaj bashar kaTne ka aata hai
ye us ki raah nahin hai magar yunhi ‘baqi’
vo mere saath safar kaTne ko aata hai
Leave a Reply