• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tez Aandhi Raat Andhyari Akela Rah-Rau

Tez Aandhi Raat Andhyari Akela Rah-Rau

tez andhi raat andhyari akela rah-rau

baḌh raha hai sochta Darta jhijakta rah-rau

manzilen samten badalti ja rahi hain roz o shab

is bhari duniya men hai insan tanha rah-rau

kuchh to hai jo shahr men phirta hai ghabrata hua

be-ḳhabar varna bhare jangal se guzra rah-rau

khiḌkiyan khulne lagin darvaze va hone lage

jab bhi guzra raah se koi sajila rah-rau

ḳhizr ki si umr varna kaise tanha kaTte

be-sahara raston ka hain sahara rah-rau

baḳhsh hi de koi shayad gesuon ki narm chhanv

har na.i basti men ThoḌi der Thahra rah-rau

koi manzil aḳhiri manzil nahin hoti ‘fuzail’

zindagi bhi hai misal-e-mauj-e-dariya rah-rau

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-nadeem-qasmi

Jab Tera Hukm Mila Tark Mohabbat Kar di

poet

Teri Bazm-E-Tarab Ki sarKHushi Kuchh Aur Kahti Hai

etibar-sajid

Band dariche Suni Galiyan An-dekhe Anjaane Log

Sawan Mein Ghabra Jata Hai

poet

Dekho Apni Aankh-Michauli Ek Haqiqat Ho Gai Na

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet