Thiik hai in dinon ḳhud par zara ghussa huun main
phir bhi apni sabhi harkat ko takta huun main
aankh ki mez pe rakkha hai mira ḳhvab-e-safar
aur bistar pe shikan Daal ke soya huun main
maslahat DhunDte phirte ho sabhi kamon men
tum ko bimar nahin lagta to achchha huun main
vaqt-e-vahshat mujhe pahchan nahin paata koi
phir batata huun fulan shaḳhs ka beTa huun main
tum jo chaho to mujhe peḌ ka hissa kar do
varna pairon tale raunda hua patta huun main
chand lamhon ka dhuan aks men tabdil hua
aur main jhuum ke kahne laga dekha huun main
saḳht bimari men rakhta huun ḳhayal aap apna
ḳhud se ḳhud puchhta rahta huun ki kaisa huun main
Leave a Reply