ho agar mere yaar aa jaao
hai mujhe intizar aa jaao
main bhi huun be-qarar aa jaao
tum bhi ho dil-figar aa jaao
ho ke dosh-e-saba pe aaj savar
gar na ho nagavar aa jaao
main huun divana-var tum pe fida
ho agar e’tibar aa jaao
main huun is paar aur tum us paar
tod kar ye hisar aa jaao
hai tumhari shikast meri shikast
maan lunga main haar aa jaao
main tumhari karunga dil-jui
tum ho kyuun ashk-bar aa jaao
aaj ‘barqi’ hai gosh-bar-avaz
tum bajate sitar aa jaao
Leave a Reply