reza reza jaise koi TuuT gaya hai mere andar
kaun hai ‘sayyad’ karb jo itne jhel raha hai mere andar
ujḌi ujḌi ḳhvab ki basti sahra sahra ankhen meri
jaane ye tufan kahan se aaj uTha hai mere andar
ḳhamoshi se jhel rahi hai garmi sardi har mausam ki
majburi ki chadar oḌhe ek ana hai mere andar
aaj na jaane kyuun lagta hai dil ka mausam nikhra nikhra
fasl-e-junun ka mehman ban kar kaun ruka hai mere andar
zulf ke saa.e ḳhvab ki manzil raas use kya aa.egi ab
sahra sahra ḳhaak jo kab se chhan raha hai mere andar
aaj bhi jaane kyuun lagta hai itna hi anjan sa kuchh vo
jis ne saare dukh-sukh banTe saath raha hai mere andar
kab se khaḌa main soch raha huun iman ke dorahe par ye
ek to vo jo sab ka ḳhuda hai ek ḳhuda hai mere andar
Leave a Reply