ḳhvāb kyā haiñ sharāb kī jhīleñ
niiñd aa.e to ham zarā pī leñ
ek sūraj hazār-hā kirneñ
khul ga.ī haiñ hayāt kī rīleñ
tez maġhrib kī ho ga.ī hai havā
thartharāne lagī haiñ qindīleñ
shahr kī gard hī lipaT jaa.e
koī apnā mile to ham jī leñ
fart-e-ġham se chaTaḳh ga.e alfāz
kaise nikleñgī ruuh se kīleñ
ye bhī ghar ho gayā hai nazr-e-fasād
is meñ rahtī thiiñ kuchh abābīleñ
baat apnī banegī kyā ‘asrār’
zehn meñ rah ga.ī haiñ tāvīleñ