dil ki halat bayan nahin hoti
khamushi jab zaban nahin hoti
harf-e-hasrat hai tum ne kya samjha
zindagi dastan nahin hoti
kya muqabil ho husn-e-janan ke
chandni be-karan nahin hoti
tum jo aao to ho javan mahfil
varna kab kahkashan nahin hoti
husn ki be-rukhi ada thahri
ashiqi bad-guman nahin hoti
be-qarari ki bas dava tum ho
ye tabibon ke haan nahin hoti
jo ye hindostan nahin hota
to ye urdu zaban nahin hoti
kuchh marasim ‘salam’ rahne de
dushmani javedan nahin hoti
Leave a Reply