koshish bhi ki to dil se na us ko bhala sake
aur is men raaz kya hai abhi tak na pa sake
meri suno ki chaah nahin be-dilon ka kaam
vo jaa.e us gali men jo ḳhuun men naha sake
qaid-e-qafas men taqat-e-parvaz miT ga.i
chhuT to ga.e pe su-e-nasheman na ja sake
aahon se kuchh hua na taḌapne se kuchh bana
aansu bhi dil ki aag na ab tak bujha sake
guzre bhi paas se to haya se simaT ga.e
sarka sake naqab na anchal haTa sake
ḳhud ibtida-e-ishq bhi ki bhuul bhi ga.e
ham bhuul kar bhi un ko na dil se bhula sake
kya aap se kahen dil-e-muztar ka apne haal
us ki to charagar na kabhi taab la sake
ḳhuddariyan bhi ishq men zanjir-e-pa thiin ‘soz’
us astan pe ham na jabin ko jhuka sake
Leave a Reply