• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hina Ye Kahti Hai Lo Be-Zaban Pa Ke Mujhe

Hina Ye Kahti Hai Lo Be-Zaban Pa Ke Mujhe

riyaz-khairabadi

hina ye kahti hai lo be-zaban pa ke mujhe

jab aae aap gae choriyan laga ke mujhe

na dekhte the kabhi jo nazar utha ke mujhe

vo dekhte hain dam-e-hashr muskura ke mujhe

hina ye kahti hai un se suna suna ke mujhe

nahin shahidon men milna lahu laga ke mujhe

nigah se badh ke hain gustakh dast-e-shauq mire

na kosiyega zara haath utha utha ke mujhe

mira raqib mujhi sa rakha diya mujh ko

nikali chhed ki shakl aaina dikha ke mujhe

duhaiyan hain shab-e-vasl apni shokhi se

ki luute lete hain joban hasin pa ke mujhe

zara se dard ne dhaai hain afaten kya kya

patak diya hai zamin par utha utha ke mujhe

kaha jo un se charagh-e-lahad jalate jaao

hava se tez gae vo hava bata ke mujhe

kanar-e-ghair men raten tadap tadap ke katin

rahe na chain se vo qabr men sula ke mujhe

saba na daagh laga tu ye apne daman ko

kahegi sham-e-lahad kya mila bujha ke mujhe

main apne khuun ka beda uthaun khud kyunkar

vo paan dete hain shokhi se muskura ke mujhe

urus-e-gor ke pahlu men chain paunga

vahi sulaegi aghosh men daba ke mujhe

kaha tha kis ne ki lakhon ke dil karo pamal

jo kah rahe ho ki laale pade hina ke mujhe

nikal dunga shab-e-vasl bal nazakat ke

dara liya hai bahut tevriyan chadha ke mujhe

mana liya tire ruthe hue ko zalim ne

hansa diya tire navak ne gudguda ke mujhe

ye haath bandh ke kahta hai dil ke zakhm ka chor

huzur yaad hain sab hathkande hina ke mujhe

vo aa ke sharm se kahte hain meri turbat par

na dekhe sabza-e-khvabida sar utha ke mujhe

ye kya mazaq farishton ko aaj sujha hai

hujum-e-hashr men le aae hain bula ke mujhe

mite huon ke mitane ko ye bhi andhi hain

rahenge naqsh-e-qadam khaak men mila ke mujhe

kahunga hashr ke chhote se din men kya kya baat

bahut hi hausle hain arz-e-muddaa ke mujhe

qayamat aur qayamat men aai qahr hua

buton ne chhed diya samne khuda ke mujhe

ada-shanason ko marte bhi ban nahin padti

payam aate hain kab se miri qaza ke mujhe

satane vaalo qayamat bhi aai jaati hai

jafa ke lutf tumhin aenge vafa ke mujhe

tamam umr ke shikve mitae jaate hain

vo dekhte hain dam-e-naza muskura ke mujhe

kahan vo nuur ki surat vo nuur ki avaz

‘riyaz’ kaun sunae ghazal ye ga ke mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Kis Se Ab Ja Ke Kahen Haal-e-Pareshan Apna

Yarab Wo Waqt aaKHiri Waqt-E-Dua Bhi Ho

Kaun in Lakhon Adaon Mein Mujhe Pyari Nahin

Dilon Ko toDne Walo Tumhein Kisi Se Kya

poet

Hai Mera Tar-E-Nafas Tar-E-Qafas

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet