choT khaa.i ho jis ne ulfat ki
kya kare baat vo masarrat ki
chaar din hans ke umr bhar rona
dastan muḳhtasar hai ulfat ki
ek dhoka hai ḳhud-farebi hai
aarzu is jahan men rahat ki
aadmi aadmi ka dushman hai
uf ye tazlil adamiyat ki
shoḳh aisa bana diya tum ko
ye bhi san.at hai ik mashiyyat ki
kaash miT jaa.en ku-e-janan men
ham ko ḳhvahish nahin hai jannat ki
dil jalane pe bhi na duur hui
tirgi ai ‘naresh’ furqat ki
Leave a Reply