nafas nafas iztirab sa kuchh
hai zindagi ya azaab sa kuchh
fareb khati hai pyaas apni
qadam qadam hai sarab sa kuchh
na.i na.i guftugu ka nashsha
baḌi purani sharab sa kuchh
kisi vasile to raat guzre
na niind hai aur na ḳhvab sa kuchh
hain hashm-e-giryan ko gham hazaron
chalo karen intiḳhab sa kuchh
in achchhe logon men vaqa.i kya
kahin nahin hai ḳharab sa kuchh
varaq varaq paḌh liya gaya vo
tha jis ka chehra kitab sa kuchh
ye raah pur-ḳhar kuchh nahin jab
chubha ho dil men gulab sa kuchh
na jaane kyon ḳhud aziyyati se
mujhe nahin ijtinab sa kuchh
‘amar’ vahi shaḳhs dil ka jo hai
zara sa achchha ḳharab sa kuchh
Leave a Reply