lutf aaya hai jan-fishani men
hijr kaaTa hai zindagani men
sar jhuka.e adab se aati hai
maut mausam ki rajdhani hai
kaise ḳhush main dikha.i deta na
zikr mera bhi tha kahani men
ek beTa mila tha minnat se
mar gaya tha vahi javani men
rang badla hua hai aaj us ka
zahr lagta hai yaar paani men
tai karunga sabhi manazil ko
aaj rangin shab suhani men
phans chuka hai guzishta din se ‘sahar’
ek afat-e-na-gahani men
Leave a Reply