kyuun ho bahana-ju na qaza sar se paanv tak
zalim hain aap ki hai ada sar se paanv tak
sakit hain bad-e-marg qava sar se paanv tak
mohren laga gai hai qaza sar se paanv tak
ghere thi tujh ko barq-e-ada sar se paanv tak
kyuun nakhl-e-tur jal na gaya sar se paanv tak
zanjir ban gai hai qaza sar se paanv tak
goya ragen hain dam-e-bala sar se paanv tak
main khud zaban-e-shukr bana sar se paanv tak
duube na kyuun asar men dua sar se paanv tak
munh chand us pe zulf-e-rasa sar se paanv tak
kyuun lot-pot ho na ada sar se paanv tak
sidq o safa sikhata hai nazzara-baz ko
aina-e-jamal tira sar se paanv tak
qasid kahe gaya miri zardi-e-rukh ka haal
is dastan ko khuub ranga sar se paanv tak
ai shama tujh se saaf main kahta huun dil ka haal
jalna hi tha to jal na gaya sar se paanv tak
piiri men kanpne lage aza-e-jism sab
hushyar hil gai ye bina sar se paanv tak
shayad khizan saba ka fasana suna gai
har nakhl-e-bagh kaanp gaya sar se paanv tak
dariya-e-ishq men mujhe rakhna na tha qadam
duuba to khuub duub gaya sar se paanv tak
li nakhl-e-tur ki na khabar tum ne ai kalim
tum dekhte rahe vo jala sar se paanv tak
aghaz hi men aap ne kar di zaban band
qissa hamara sun na liya sar se paanv tak
phailaen ya na haath ko phailaen sharm se
dast-e-talab hain tere gada sar se paanv tak
tera kahan jamal kahan jalva-gah-e-tur
muusa na phir na dekh liya sar se paanv tak
allah ‘shad’ ghair ki ye aib-juiyan
tu khud pe kar nigah zara sar se paanv tak
Leave a Reply