Zidon Ko Apni Tarasho Aur Un Ko KHwab Karo

zidoñ ko apnī tarāsho aur un ko ḳhvāb karo

phir us ke ba.ad hī manzil kā intiḳhāb karo

mohabbatoñ meñ na.e qarz chaḌhte rahte haiñ

magar ye kis ne kahā hai kabhī hisāb karo

tumheñ ye duniyā kabhī phuul to nahīñ degī

mile haiñ kāñTe to kāñToñ ko hī gulāb karo

siyāh raato chamaktī nahīñ hai yuuñ taqdīr

uThāo apne charāġhoñ ko māhtāb karo

ka.ī sadā.eñ Thikāna talāsh kartī huī

fazā meñ guuñj rahī haiñ unheñ kitāb karo

kisī ke rañg meñ Dhalnā hī hai agar ‘dānish’

to apne aap ko thoḌā bahut ḳharāb karo

Leave a Comment